bitter gourd karela benefits bitter gourd karela recipe bitter gourd karela and diabetes bitter gourd karela juice bitter gourd karela chips bitter melon karela diabetes bitter melon karela recipes bitter melon karela seeds bitter gourd chips karela fries bitter gourd or karela bitter gourd karela stuffed bitter gourd bharwan karela recipe benefits-of-bitter-gourd-karela sailu's health benefits of bitter gourd karela karela bitter gourd curry recipe karela bitter gourd curry karela sabji bitter gourd curry himalaya karela bitter gourd capsule cooking karela bitter gourd himalaya karela bitter gourd 60 capsules bitter gourd karela diabetes karela bitter gourd extract fried karela bitter gourd recipe how to cook bitter gourd karela how to make bitter gourd (karela) juice bitter gourd pickle or karela pickle recipe benefits of bitter gourd karela karela bitter gourd pickle recipe taj karela bitter gourd bitter melon or karela
Bitter Gourd (Karela)
Karela Ki English
Bitter Gourd ( Karela) is a very useful vegetable. It has Calcium, Magnesium, Potassium, Phosphorus, Sodium, Zinc, Copper, Fiber, Protein, Selenium, Vitamin A and C. Bitter Gourd is useful for diabetes and lever problem. It is very useful for Skin treatment
Karela Benefits In Urdu
Bitter Gourd ( Karela ) yeh sabzi pore barre sagheer mein khai aur ugaai jati hai. Yeh apne tibbi fawaiyde ki wajah se Maghrabi duniya mein bhi kafi maqbool ho rahi hai. Karela beshumar ghizai ajzaa par mushtamil sabzi hai. Is mein Calcium, Magnesium, Phosphorus, Potassium, Sodium, Zinc, Copper, Protein, Selenium, Fiber, Vitamin A aur C bhi hota hai. Ghazaiyat se bharpoor hone ki wajah se yeh beshumar amraaz mein faiyda pohnchati hai. Is liye atbaa o hukma arsaa daraz se karela ko dawaiyon mein bhi istemal kar rahe hain aur Karela paka kar khane ka mashwara bhi sete hain. Baaz log is ki karhwahat ki wajah se ise na pasand karte hain, lekin agar Karele ko cheel kar 3 se 4 ghante ke liye Namak laga kar rakh diya jae, to karele ki karhwahat mein kami aa jati hai. Qeema Karele aur Karele Gosht Barre sagheer le logo ki marghob ghiza hai. Is ke ilawa Qeema bhare Karele bhi zaiyqe mein apni misaal aap hain.
Benefits of Karela In Diabetes
Karela Diabetes ke liye desi ilaaj hai. Haliya tibbi tehqeeq mein yeh baat samne aai hai. Ke is mein Insulin se mushabiha aik Mada paya gaya hai. Jise nabatati Insulin ka naam diya gaya hai. Yeh mada Urine aur Blood mein Sugar ki miqdar ko kam karta hai. Yehi wajah hai ke purane tajurbekaar tabeeb karele ka istemal sugar ke patients ko tajveez karte hain. Ziyada behtar nataiyj hasil karne ke liye Diabetic ke patients ko roz Subha neharmou 4 se 5 Karelon ka pani pina chahiye. Karelon ke seeds ka safoof bhi ghiza mein shamil karna bohat mufeed hai. Karelon ko ubaal kar un ka joshanda istemal karna bhi diabetes ke liye mufeed hai. Karele ka safoof bhi mufeed hota hai, magar 2 gram se ziyada istemal na karen. Stomach ke liye bhi karela bohat mufeed sabit hota hai. Insani jism mein jama hone wale fasid maado ko kharij karne mein madad deta hai. Yeh antarhyan saaf karta hai. Pait mein dard aur marhor nahi hone deta. Pait mein keerhe ho, meyda kharab ho, bhook na lagti ho ya gas ki shikayat ho, yeh sab mein nafaa karta hai.
Fantastic Post! Lot of information is helpful in some or the other way. Keep updating bitter melon extract
ReplyDelete