Garlic ( Lehsun) is a vegetable.It is also works as an herb. Garlic is use for flavoring in different types of foods. It is an energetic antibiotic vegetable. It is very useful for humans and animals also. Garlic has Potassium, Calcium, Phosphorus, Iron, Iodine, Cobalt, Zinc, Sodium, Selenium and different Vitamins. kisi bhi kisam ki information keliay visit our blog
Lehsun( Garlic In Urdu )
Garlic ko Urdu mein Lehsun kehte hain. Lehsun (Garlic) saddiyon se istemaal hota chala aa raha hai. Qadeem tareen tibbi record ke ilawa jaded daur ki tehqeeqat aur mutalla bhi is ki afadiyat ki tasdeeq karte hain. Saddiyon purane record gawah hain ke Lehsun (Garlic) mukhtalif amraaz ki dawa ke ilawa tonic ke taur par bhi istemaal hota tha. Barre sagheer mein barson purani Hindi tib bhi Lehsun (Garlic) ke batuar tonic mutarif thi. Bal ke dawa se ziyada is ki hesiyat taqviyat bakhsh sabzi ke taur par tasleem ki jati thi. Tib Hindi ke muaalijeen garlic ko nizam e hazam ke ilawa saans ke nizam, aesabi aarzon, dauran khoon aur deegar pecheeda shikayat ke liye muassir tasleem karte the.
Garlic Benefits In Urdu
Lehsun Ke Fayde (Garlic Ke Fayde)
Sanskrit ki 5 hazar saala qadeem tehreeron ke mutalle se bhi pata chalta hai ke lehsun (garlic) ki afadiyat us waqt tasleem ki ja chuki thi. Ise Misar mein dil ke amraaz ke ilawa rasoliyon, sir dard ki shikayat, pait ke keerhon se nijaat ke liye use kiya jata hai. Yunani tib mein aanton ke zakham, bachon ke qolanj, ghatiya, pechish aur allergy ke liye muassir qarar diya gaya hai.
Is se qabal ki tehzeebon ke record se bhi yeh sabit hota hai ke lehsun (Garlic) pneumonia, chest infection aur flu ki shikayat ke ilawa Ear ke dard aur Deaf ki takleef ke illaj ke liye bhi istemaal kiya jata tha.
Aaj bhi maghrabi aur Asian countries mein lehsun (garlic) ko taqatwar antibiotic jana jata hai aur ishaal mein ise mufeed qarar diya gaya hai. Is ke taza jawon ka joshanda soiling door karne ke liye mufeed hai.
Lehsun (Garlic) allergy ki shikayat, sharyano aur ragon ki tangi aur sakhti, ghatiya, damey, urine na rukne ki shikayat, chest problem, lungs soiling, high blood pressure aur lever problem ke liye aitemaad ke sath istemal kiya jata hai.
yeh khoon patla karne ki nibatati dawa hai. Cholesterol ki ziyadti ki soorat mein mareez se apni ghizaon mein shakal badal badal kar istemal karte hain.
Garam pani mein pisa hua lehsun (Garlic) ghol kar pi liya jae to Diabetes mein bhi afaqa hota hai.
Kuch log Garlic aur Yogurt mila kar istemal karte hain. Ghaliban unhe Garlic ka churchurapan nahi bhata ya phir Coriander shamil kar ke is ki chatni khilai jati hai. Kyun key eh antibiotic peshaab aawar ke taur par bhi istemal kiya jata hai. Lehaza zaiyqa badal ke ise apni ghiza ka juzo banana mufeed hota hai. Kachee garlic ki nisbat thora sa bhoon kar khana sehat bakhsh aur zod hazam bhi hai.
Kuch log Garlic aur Yogurt mila kar istemal karte hain. Ghaliban unhe Garlic ka churchurapan nahi bhata ya phir Coriander shamil kar ke is ki chatni khilai jati hai. Kyun key eh antibiotic peshaab aawar ke taur par bhi istemal kiya jata hai. Lehaza zaiyqa badal ke ise apni ghiza ka juzo banana mufeed hota hai. Kachee garlic ki nisbat thora sa bhoon kar khana sehat bakhsh aur zod hazam bhi hai.
Insane ke sath sath heywano ke ilaaj muaaljey ke liye bhi ise istemal mein layay jata hai. Un ki chand khas bimariyan jin mein Fungus, tongue soiling, mou ke chale, pait ka dard jaisi bimatiyan shamil hain. Garlic grind kar ke khilane se janwar sehatmand ho jate hain. Doodh dene wale janwaron ke liye bhi ise akseer nibatati tonic tasleem kiya jata hai.
ham aesi beshumar post kerty rehty hen ...hamari achi post dekhny keliay hamara blog follow kren
helppanal.blogspot.com
Comments
Post a Comment